". wysiwyg Layout Happy daughters day

Happy daughters day

Hum log bohat hi normal si life jeete hai.. jisme hum bade bade pal tho celebrate karte hai par chote chote moment avoid Kar dete hai.....
Hum apna birthday or Valentine's day tho yad rakhte hai par father's day mother's day in share Dino ko bhool jate hai...




Mai ye blog or ye din sari daughters ko dedicate karti hu..Jo har maa ke Dil ka sukoon hoti hai...or Jo khud bhi ek pyari si bacchi ki  maa ban cuki hai...Jo bhi maa hoti hai unke liye beti beta dono hi bacce ek saman hote hai..par kuch tho baat hoti hai ek maa or beti ke riste me .
🥰🥰🥰🥰🥰🥰🥰🥰🥰🥰🥰
Wo maa Jo bina kuch kahe apni beti ki awaj phone par sunkar hi jaan leti hai ki beti ko koi pareshani hai..or wo ek beti hi hoti hai Jo apni maa ko wese bhale na dikhaye ki wo unhe kitna pyar karti hai..par maa ko fever ane par ghar ke sare kaam apni maa ki tray puri jimmedari see karne lgti hai..
Wese kaam karwane ke liye his maa ko das bar awaj lagani padti thi .wo kam ma ke jara bimar hone par bina kuch bole hi sav sambhal leti hai betiya...
Or us pal ahsas hota hai ki hmari betiya badi ho gyi hai...😘😘😘😘



Maa kitna bhi naraj ho le beti par .....ki tumko ye nahi Khana hota hai wo nahi khaati ho...par fir bhi wo bnati beti ki pasand ki diss hi hai...🥰🥰🥰🥰🥰🥰🥰

Betiya JB nanhey se kadmo se purey ghar Mai goomti hai tho pura ghar jese mano chehak uthta hai...jab koi maa baap din bhar k kaam ke baad ghar pochate hai or apni beti ka hasta hua chehra dekhte hai tho kitni hi tension kyo na ho..sav door ho gyi aisa mehsoos hota hai or unke chote chote see hath jb hum chootey hai tho wo jindgi ke har adhoorepan ko khtam ho Jane ka ahsas dete hai...
Bohat bhagyshali hote hai wo log jin apni Santan ke Roop Mai ek beti bhi mili hoti hai..apne har vyakti ke muh se suna hoga ki betiya apna bhagya khud lekar ati hai...


Ek beti hi hoti hai Jo do kulo ko Roshan karti hai ..ek beti hi hoti hai Jo apno ko chodh Kar ek paraye ghar me jakar us ghar ko pura karti hai ...or apne pyar or apnepan se sav mehka deti hai...

Beti ko palna or bada Karna ek bohat hi jimmedari ka Kam hota hai ye aap savne suna hoga....ji bilkul hota hai kyoki kmjor kahi Jane wali ladkio ke kandey par hi aksar purey ghar ki jimmedariyo ka bojh hota hai..
 
Mai bhi jb apni beti ko dekhti hu tho sochti hu ki kaise ye agey chalkar sav sambhal leti kitna muskil hoga sav..fir yad karti hu wo din jab Meri maa muje kehti thi..ki koi Kam nahi thik se ata Kya hoga sasural Mai...
Par ab us bat par hasi aati hai ..or Meri maa ab sochti hai or abi bhi ek doubt me sath puchti hai ki.. tum Sach Mai sav karne lagi 😊😊😊😊😊😊😊😊

Beti jb Badi hone lgti hai tho kahi na kahi man Mai uske door Jane ka dar satane lgata hai...or fir kuch bate sochkar kabhi kabhi tho use daatne ka bhi man nhi hota hai...

Mai baat karu agar Meri beti k bare mai.tho abhi wo bohat Jyda Badi nahi hui hai..par kabhi kabhi uski bate or Kam bado wale hi hote hai....kabhi kabhi uska mere liyw cinta Karna or muje pyar see maa kehne k baad apni baat kehna ye Sach Mai ek pura home ki feeling hoti hai...
Ek aisi feeling jiska koi substitute nahi hota ek aisa rishta Jo bohat majboot hota hai..
Log aksar kehte hai ki beta hota tho Jyda thik....or unhi logo ko Maine Ghar akele cdhne see darte dekha hai...Maine Beto wale ke muh se hmesha suna hai ki Ghar ki cinta hai Ghar par koi nahi hai...jb unse kaho ki kyo unke bete tho haina...tho unki maa hi kehti hai ki yhi tho cinta hai ki wo log Ghar par hai...wo itne samjdar ho tb na...😅😅😅😅

Wahi jinki ek beti hai or Ghar par hoti hai tho unne yhi kaha ki Ghar jakar bas Khana kana hai na ki bnana....kyoki unke Ghar Mai unki jagj par unki jimmedari beti hai...
Mai ye tho nahi kehti ki bete jruri nahi par kuch stayblity or maturity Jo bhagbhan ne ladkio ko dekar beji hai wo Beto Mai nhi hoti...chijo ko behtar or sahi tarike se. Samhhne ki capacity bhi unme kabile tarif hoti hai... situation ko handle Karna or sahi evaluation betio Mai koob hota hai...

Mai bohat khush hu Jo muje ek pyari so Beti di hai bhagbhan me...muje kabhi ye shikayat nhi hui ki kassh beti k jagh beta hona tha...kyoki muje Khushi hai ki Mai ek maa hu ...or maa hona apne aap Mai ek blessing hai....fir aap maa cahe ek bete ki ho ya Beti ki...

Aaja ka ye pyara sa din sabhi pyari so betiyo ko dedicate hai...hmari betiyo ki muskaan hmesha bni rahe...
Happy daughters day......😘






















Post a Comment

1 Comments