उस दिन के bad maine kisi ko maa.....papa or bhaiya keh kar ni Pukara...
Maine jivan के iss katu saty ko dheere dheere swikar kar hi liya tha....
Ki kuch rishte mere hatho se fisal chuke hai mai cahkar bhi nahi rok payi...us teji se girti hui ecg ki line ko...jo mere papa ke iss duniya mai hone ka antim paramad thi....
Mai nahi rok paayi unki thamti hui Sanson ko or nahi keh payi ki abi nahi jayey .....mai unhe nahi keh payi ki ruk jayey koi nahi muje kehne wala ki tum mera beta ho.....muje koi nahi kehne wala ki tum wo kar sakti ho jo ghar mai koi nahi kar Paya....
Par mai unke unkahe sabdo ko ICU se bharpur sun pa rahi thi...unke sabad jo ab muh se nahi ankho se jalak rahe the ...unka apalak mujhe Niharana ....
Wo pal mere achetan Mann mai aise ruk gye ki kabhi ja hi ni paye...
Har jate pal ke sath mera man ab puri trah se teyar tha ....agey badne ko mai or meri teen bahane hum ek dusre ka sahara ban chuke the
Ganto se ek dusre se bat karna ...Har choti badi baat share karna ...
Ghar k sare hadse or khoye hue risto ka gam kbhi kam tho ni hua par man ke kisi kone mai tha ...ki ab jo bhi sab thik hai....
Par iswar kuch or hi soch kar bethe the...
Shayad unhe lga ki abhi ansu or hosla baki hai..
Or Palak japakte hi hum savki jindgi mai ek toofan ne dastak di....
Wo toofan jiske upar bani thi meri badi behan ki jivan Rekha...
CANCER.....hum Sav ki jivan mai ek andhera chaa gya ...or har jaate pal ke sath iswar par vishwas or didi ka sath dono hi Kam hue..
Dekhte dekhte....Maine apni life ke kuch anmol riste kuch salo mai kho diye the...
Ab kon sa kon Bharu....
Wo jisme ma rehti thi....
Wo jisme pita .....ki awaj thi...
Ya wo jisme bhai ki Dant thi....
Ya wo jisme didi ki meethi Pukar thi...
Upar wale ne tho bharpayi kar li ...
Par hum Sav ke man mai jo hue hai khali
basere unki भरपाई?
0 Comments